jeevan ki har rahon pe,
chalne ko ab dil karta hai,
har tute bikhre sapno ko,
pura karne ko ab dil karta,
thakne se mai darta hun,
par thakne ko ab dil karta hai,
jo kaam kiya na barson maine,
wo bhi karne ko ab dil karta hai,
bahut hanse hain log mujh par,
ab unpar hansne ko dil karta hai,
apne anokhe kaamon se,
unhe jhakjhor dene ka dil karta hai...
BY,
RAJNEESH SHUKLA
No comments:
Post a Comment